Sunday, July 19, 2015

Vraksh Ki Chah

Budha kantila vraksh janta hai ki
Vah chidiya ko kuch nahi de payega
Haan par chahega avashya ki
Kisi toofani raat mein
Uski shakhaein jameen mein gir jayen
Aur khaad bankar chidiya jis vraksh par ho
Vahan Ki mitti mein sama jaye



Astitva - 1

Baag mein budhe kantile vraksh ka astivta shayad sirf isiliye ki
Chidiya phal vale sundar vraksh ki mahatta jaan sake

Sivay is Ehsaas ke

Budhe kantile vraksh ke pass dene ko hota hi kya hai?
Sivay is ahsas ke Ki chidiya jis vraksh pe bhi rahe khush rahe

Kantila Vraksh

Baag mein sundar aur phal wale vraksh bahut the
Par naa jane kyoon chidiya ne kantile vraksh pe apna ghonsla banaya
Vraksh man hi man ithlaya aur itraya
par apni sadbhavnaon ke siva chidiya ko kuch de na paya
Naa hi toofani rat mein vo chidiya ko bacha paya
Chidiya ab majbooran dusre vraksh par ghar bana rahi hai
Shayad Vraksh ka akelapan hi uske kantilepan ki Sahi saja hai

Friday, July 17, 2015

To the Bird!

Though he cannot hear your song
Nor can he see you around
Bird, but keep singing the song 
As this might be only thing with which the tree lives by
 

Tuesday, July 14, 2015

What should the tree do?

If the tree has let the bird down and the bird has flew to a new tree
What should the tree do?


Friday, July 10, 2015

Isliye - Harivansh Rai Bacchan

Isliye khada raha Ki tum mujhe pukar Lo,
Isliye khada raha Ki tum mujhe  dular lo,
Isliye khada raha Ki tum mujhe sudhar Lo 
Isliye khada raha Ki tum mujhe pukar Lo, pukar kar dular Lo, dular kar sudhar Lo. Is liye khada raha