Sunday, July 19, 2015

Vraksh Ki Chah

Budha kantila vraksh janta hai ki
Vah chidiya ko kuch nahi de payega
Haan par chahega avashya ki
Kisi toofani raat mein
Uski shakhaein jameen mein gir jayen
Aur khaad bankar chidiya jis vraksh par ho
Vahan Ki mitti mein sama jaye



No comments:

Post a Comment