Baag mein sundar aur phal wale vraksh bahut the
Par naa jane kyoon chidiya ne kantile vraksh pe apna ghonsla banaya
Vraksh man hi man ithlaya aur itraya
par apni sadbhavnaon ke siva chidiya ko kuch de na paya
Naa hi toofani rat mein vo chidiya ko bacha paya
Chidiya ab majbooran dusre vraksh par ghar bana rahi hai
Shayad Vraksh ka akelapan hi uske kantilepan ki Sahi saja hai

No comments:
Post a Comment